Humsafar banke hum saath saath hai aaj bhi..
Fir bhi hai ye safar ajnabi ajnabi
Rah bhi ajnabee, mod bhi ajnabee..
Jayenge hum kidhar ajnabi ajnabi!
Jindagi ho gyi hai sulagta safar,
Dur tak aa rha hai dhuan sa nazar,
Jaane kis mod pe kho gyi har khushi,
Deke dard-e-jigar ajnabi ajnabi
Humne chun chun ke tinke
Banaya tha jo
Aashiyaan hasraton se
Sajaya tha jo
Hai chaman me wohi aashiyaan aaj bhi
Lag rha hai magar ajnabi ajnabi
Kisko maloom tha
Din ye bhi aayenge
Mausamon ki tarah
Dil badal jayenge
Din hua ajnabi, raat bhi ajnabi
Har ghadi, har pahar ajnabi ajnabi
Not been a single time Jagjit Singh doesn't touch the strands of my heart and cause that tear deep in the heart away from the eyes of the world flow...
No comments:
Post a Comment